Aayushman Bharat Yojana List Mein Apna Naam Kaise Dekhe | Check your name in PMJAY.gov list
Aayushman Bharat Yojana List mein apna naam kaise check karein? (PMJAY.GOV.IN) Aap Aayushman Yojana ki sarkari website par jakar, Aayushman Bharat Yojana ki list mein apna naam check kar sakte hain. Iska online tarika is prakar hai:
Step 1: Apne computer ya mobile par Aayushman Bharat Yojana (PMJAY) ki website kholiye. Iska link hai – https://pmjay.gov.in/. Homepage par, upar hare rang ki patti mein daaye taraf “Am I Eligible” ka link dikhata hai. Is par click kar dijiye.
Enter mobile number Step 2: Jo naya page khulta hai, usme ek LOGIN box dikhata hai, jisme aapko teen cheezen daalni hain: Mobile Number: Pahle box mein apna mobile number daal dijiye. Captcha Code: Dusre box mein Captcha code daal dijiye (daaye taraf image mein bane aksharon ko dekhkar). Generate OTP: Ab neeche “Generate OTP” button par click kar dijiye.
OTP is Sent Step 3: Aapke mobile number par SMS se 6 ank ka OTP number aayega. Use dekhkar khali OTP box mein daal dijiye. ☑: OTP box ke neeche tick ☑ laga dijiye. Yeh is baat par sahmati hai ki aap Aayushman Bharat Yojana ki website par, apne naam, pata, Aadhar number wagairah saanjha karne ki anumati de rahe hain. Submit: Ab sabse neeche “Submit” button par click kar dijiye.
Select state choose options to see name Step 4: Upar bataye gaye, kisi bhi vikalp ka istemal karke search ke button par click karne se pata chal jayega ki aapka naam Aayushman Yojana ki list mein shaamil hai ya nahi. Search ke baad agar aapka naam nahi dikhata aur “No Result Found” likhkar aata hai to.
Agar kisi ek vikalp ka istemal karne par, No Result Found likhkar aata hai to anya vikalpon se bhi jaroor check kar lein. Agar har baar No Result Found aata hai, to phir aapko is yojana ka phayda nahi mil sakta.
Helpline number 14555 se bhi check kar sakte hain list mein apna naam Aayushman Bharat Yojana ki list mein naam check karne ke liye, sarkar ne ek nishulk helpline number (Toll-Free Number) bhi jaari kiya hai. Yeh number hai – 14255. Is number par phone karke bhi aap Aayushman Bharat Yojana (PM-JAY) ki list mein apna naam check kar sakte hain. Yojana se sambandhit kisi shikayat ya anya jaankari ke liye bhi aap is number ka istemal kar sakte hain. Kisi bhi din aur kisi bhi samay (24*7) is number ka upayog kiya ja sakta hai.
Dhyan dein: Kuchh rajyon ne apne yahan alag se bhi Aayushman Yojana toll-free number jaari kiye hain. In numbers par call karke bhi aap Aayushman Yojana ke sambandh mein jaankari prapt kar sakte hain. Jaise ki
Uttar Pradesh 180018004444 Madhya Pradesh 18002332085 Bihar 104 Uttarakhand 155368 aur 18001805368
Aayushman Bharat Yojana mein kaun-kaun si bimari ka ilaaj hota hai? Ayushman App se bhi list mein check kar sakte hain apna naam Logon ko Aayushman Bharat Yojana ki sevayein, mobile par uplabdh karane ke liye sarkar ne Ayushman App bhi jaari kiya hai. Iska poora naam Ayushman Bharat PM-JAY App hai.
Aayushman App ki madad se aap nimnlikhit kaam kar sakte hain:
Check Eligibility par tap karke Aayushman Bharat Yojana ki list mein apna naam check kar sakte hain. Find Empanelled Hospital par tap karke aap Bharat ke kisi bhi shahar mein Aayushman Hospitals ki list dekh sakte hain. Hospital ka pata, phone number aur pahunchne ka raasta dekh sakte hain. Grievance: Is option ki madad se, Aayushman Bharat Yojana se sambandhit kisi samasya ki shikayat bhi darj karva sakte hain. Ambulance par tap karke Aayushman Hospital mein ilaaj ke liye ambulance bhi book kar sakte hain. FAQs par tap/click karke, Aayushman Bharat Yojana se sambandhit prashnon ke uttar pata kar sakte hain. Aayushman Bharat Yojana ka labh kise-kise mil sakta hai? SECC Janaganana mein shaamil gareeb: Shuruvat mein, sirf un logon ko Aayushman Bharat Yojana ke labhadata (beneficiaries) mein shaamil kiya gaya tha, jinka naam 2011 ki samajik-arthik aur jaatigat janganana (Socio-Economic and Caste Census-SECC) mein gareebon aur vanchiton ki list mein tha.
Baad mein kuchh anya shreniyon ke logon ko bhi is yojana ke labhadata mein shaamil kiya gaya.
ESIC Yojana ke labhadata rajya karmachari: September 2019 mein, Bharat sarkar ne karmachari rajya bima nigam (ESIS) ka labh paane vale rajya karmachariyon ko bhi Aayushman Bharat Yojana ke antargat, muft ilaaj dene ka nirnay kiya.
Kendriya Suraksha Balon ke jawan aur unke pariwar: January 2021 mein, kendriya sarkar ne kendriya suraksha balon (Central Armed Police Forces) ke jawanon (Central Armed Police Forces) aur unke pariwaron ko bhi Aayushman Bharat Yojana ke tahat ilaaj karane ka adhikar diya.
Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana ka labh kise milega? Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana (PMJAY), jise Ayushman Bharat Yojana bhi kaha jata hai, Bharat sarkar ki ek mahatvapurna swasthya yojana hai, jiske tahat gareeb aur vanchit varg ke logon ko muft ilaaj ki suvidha pradan ki jati hai. Is yojana se nimn prakar ke log labh utha sakte hain:
- Gareeb Parivar: Yojana ki pahli prathamikta gareeb parivaron ko di jati hai, jinke paas swasthya bima nahi hota aur jinke paas swasthya ki sahi vyavastha nahi hoti. Aise parivaron ko muft ilaaj ki suvidha pradan ki jati hai.
- Vanchit Varg: Yojana vanchit vargon ko bhi labh pahunchati hai. Ismein SC (Scheduled Caste), ST (Scheduled Tribe), OBC (Other Backward Classes) jaise varg shamil hain, jo samanya sthitiyon mein swasthya ki suvidhaon se vanchit rehte hain.
- Yatayat Durghatana Ke Shikar: Yojana yatayat durghatana ke shikar vyaktiyon ko bhi labh pahunchati hai. Agar koi vyakti ek yatayat durghatana mein ghayal ho jata hai aur usko ilaaj ki jarurat hoti hai, to PMJAY uski madad kar sakta hai.
- Gareeb Kisan: Gareeb kisan bhi is yojana ka labh utha sakte hain. Yadi koi kisan gareeb hota hai aur usko kisi bimari ya chot ki chikitsa ki avashyakta hoti hai, to woh PMJAY se ilaaj karva sakta hai.
- Rajya Karmachari: Yojana rajya karmachariyon ko bhi labh pahunchati hai. Agar kisi rajya karmachari ko swasthya samasya hoti hai, to woh PMJAY ka upayog karke ilaaj karva sakta hai.
- Kendriya Suraksha Bal: Kendriya suraksha balon ke jawan aur unke pariwar bhi is yojana ka labh utha sakte hain. Yadi koi jawan ya unka pariwar swasthya samasya se grast hota hai, to unhe PMJAY se muft ilaaj ki suvidha prapt ho sakti hai.
- Jansankhya Mein Vridhi: Yojana jansankhya mein vridhi ke karan swasthya suvidhaon ki kami se prabhavit logon ko bhi labh pahunchati hai.
Yadi aap is yojana ke antargat aate hain, to aap muft ilaaj ki suvidha prapt kar sakte hain. Iske liye aapko apne najdiki empanelled hospital mein jaana hoga aur wahaan par apna Aadhar card aur PMJAY ki golden card dikhaana hoga.
Dhyan dein ki yojana ke antargat kuchh niyam aur sharten hoti hain, isliye yojana ke official website par jakar adhik jaankari prapt kar sakte hain.